Tuesday, April 3, 2012

Bewafa Shayari




Kabhi kisi se pyaar mat karna,
ho jaaye to inkaar mat karna!
Nibha sako to chalna uski raah par,
varna kisi ki zindagi barbaad mat karna
“Chaha Tha Unhein Hale Dil Sunana,
Chaha Tha Unhein Junone Mohabat Dikhana,
Nazmein Laaye The Hum Dil Kured Kured Kar,
Par Alfaaz Bhi Chale Gaye Unhein Dekh Kar”
Buhat tamana thi, pyaar mein Aashiyan banane ki,
Bana chuke to lag gayi Nazar zamane ki.
Usi ka karz hai jo aaj hain Aankhon mein Aanso,
Saza mili hai hume muskurane ki !


Dekha tujhe to rooh khush ho gayi,
Ek kami thi vo bhi puri ho gayi,
Pagal hain vo log jo kehte hain ki,
Chimpanzi ki aakhri nasal kahin kho gayi!!
Mere Dil, Jiger, Kidney, Liver ho tum
waqt-bewaqt aaye vo fever ho tum
Doob kar jisme marr jaoo vo River ho tum
Mere jeevan mein ab to forever ho tum…
Shaam hote hi ye Dil udaas hota hai
Toote khwaboo ke siwa kuch na pass hota hai
Tumahri yaad aise waqt bohat aati hai
Bandar jab koi aas-paas hota hai..
Vo aaj bhi hume dekh kar muskurate hain
Vo aaj bhi hume dekh kar muskurate hain
Yeh to unke bachche hee kaminey hain,
Jo Mama Mama kehke bulaate hain:)
Ek ladki thi diwani si, sunder si lambi si,
Nazrein jhukake sharmake galion se guzra karti thi
latak matak chalti thi, aur kaha karti thi,
Bartan Lelo Bartan….
Woh hamari gali me aaye…
Woh hamari gali me aaye…
Woh hamari gali me aaye…
Aur chillake bole…..
Paper Raddi wala !!!!!
Apni Surat ka kabhi to didaar de
tadap raha hu kabhi to apna pyaar de
Apni awaaz nahi sunani to mat suna
Kam se kam 1 Missed call hee maar de
jab tum angdayi leti ho tho mera dum nikal jata hai
jab tum angdayi leti ho tho mera dum nikal jata hai
arey thoda deodrant lagane main tera kya jata hai:)


Aansoo May Na Dhoondna Humey


Aansoo May Na Dhoondna Humey,

Dil May Hum Bas Jaayenge,
Tamanna Ho Agar Milne Ki,
To Band Aankhon May Nazar Aayenge.
Lamha Lamha Waqt Guzer Jaayenga,
Chund Lamhoo May Daaman Choot Jaayega,
Aaj Waqt Hai Do Baatein Kar Lo Humse,
Kal Kya Pata Kon Apke Zindagi May Aa Jayega.
Paas Aakar Sabhi Door Chale Jaate Hai,
Hum Akele The Akele Hi Reh Jaate Hai,
Dil Ka Dard Kisse Dikhaaye,
Marham Lagane Wale Hi Zakhm De Jaate Hai,
Waqt To Humey Bhula Chuka Hai,
Muqaddar Bhi Na Bhula De,
Dosti Dil Se hum Isiliye Nahin Karte,
Kyunke Darte Hai,Koi Phir Se Na Rula De,
Zindagi May Hamesha Naye Log Milenge,
Kahin Ziyada To Kahin Kam Milenge,
Aitbaar Zara Soch Kar Karna,
Mumkin Nahi Har Jagah Tumhe Hum Milenge.
Khushbo Ki Tarah Aapke Paas Bikhar Jayenge,
Sukon Ban kar Dil Me Utar Jayenge,
Mehsoos Karne Ki Koshish To Kijiye,
Door Hote Hoye Bhi Pass Nazer Aayenge


Tujhe bhoolne ki koshish mein


Tujhe bhoolne ki koshish mein,
Jab dil ye zid pe aa gaya,
Main aankh moond ke baith gaya,
Tu khayaal pe phir chaa gayi…
Ye dhadkan kahin ruk jaaye naa,
Meri nabz Thehr naa jaaye kahin,
Tune Waqt kiya mera lamha lamha,
Magar maut ko aasaan bana gayi…
Meri har daleel ko kiya ansuni,
Meri fariyaad bhi to suni nahin,
Main Hairaan hu, haa Kuch Pareshaan hu,
Aisa Faislaa tu mujhe suna gayi…
Mujhe chaand ki kabhi talab na thi,
Mujhe suraj ki bhi fikar nahi,
Bas aankh kholna hi chahte the ham,
Magar Tu roshni hi bujha gayi…
Beshak bhoolna tujhe chaha bahut,
Hans kar kabhi, ro kar kabhi,
De kar ye aansuon ki saugaat mujhe,
Tu daaman apna bacha gayi


Jab dard puranay ho baithay..


Jab dard puranay ho baithay..
Jab `yaad ka jugnu`raakh hua
Jab aankh main aaansoo barf huay
Jab zakhm se dil manoos hua
Jab tees ko chubhna bhool gia
Tab mujh peh khula main zinda hun!!!
Phir dil ko dharhakna yaad aya!!!
Jab karb ki lambi rahon main
Ahsas k baal safaid huay
Ya soch ki sarma dhoopon main
Alaam ka mevah khushk hua
Jab aankhain ‘be sailaab’huin
Jab neendain Aandhi ho baithin
Jab khawabain b ‘be khawab’ huin
Jab chaand charha be dardi ka
jab tanhaii ka seena b
Ser rakhnay ki aagosh laga
Jab rait peh likhi yaadon ko
Be mehr hawa ne cheen lia
Jab hosh ki kachi dewarain
Tasweeron se azad huin
Jab ‘yaad ruttain’ be dad huin
Tab mujh peh khula main zinda hun!!!
Phir dil ko dharakna yaad aya!!!

Yaad Karega jab tu mujhe,
shayad is duniya mein,
mein na rahu.
Dhoond ne ke liye dur mat jana,
Hamesha sanso mein tere saath hu mein
Udhas hoga jab kabhi tu
Hasane ke liye shayad
mein na rahu,
Phir bhi hasna mat chorna
kyun ki hasi mein teri khil rahi hu mein.
Thak jaoge kabhi, goom ho jaoge kabhi,
mere liye do boond aansu bhi bahaoge kabhi
Lekin aansu pochne ke liye
shaayad mein na rahu,
Phir bhi Jeena mat chorna
kyun ki jine mein tere jee rahi hu mein.
Wo Subhaa kaisi, jahaan Suraj nahin!
Wo Zindagi kaisi, jahaan Kushiyaan nahin!
Wo Pyaar kaisa, jahaan Tum nahin!
Mujhe wo Suraj chahiye jo apni roshni se
Mujhe tumse milne ka rasta dikha sake,
Mujhe wo Zindagi chahiye,
jisme khushi Tumse milne ke baad muje mile.
Mujhe wo Pyaar chahiye, jo mujhe sirf Tumse mile

Yoon Judaaiyoon Ki Sazaa Na Day 
Mare Sabar Ka Na Lay Imtihaan,
Mare Khaamoshi Ko Sadaa Na Day,
Jo Tare Baghair Na Jee Sake,
Usai zindagi Ki Duaa Na Day,
To Azeez Dill-o-nazar Se Hai,
To Qareeb Rag-o-jaan Sai Hai
Mare Jism-o-jaan Ka Yeh Faasla,
Kaheen Waqt Aur Barhaa Na Day,
Tujhe Bhool Ke Na Bhulaa Sakoon,
Tujhe Chah Ke Bhi Na Paa Sakoon,
Meri Hasratoon Ko Shumaar Kar,
Meri Chahatoon Ka Silaa Na Day,
Wo Tarap Jo Shula-e-jaan Main Thi,
Mere Tan Badan Se Lipat Gayi,
Jo Bujha Sake To Bujha esey,
Na Bujhaa Sake To Hawaa Na De,
Tujhe Agar Milein Kabhi Fursatein,
Mere Shaam Phir Se Sanwaar Day,
Agar Qatal Karna Hai To Qatal Kar ,
Yoon Judaaiyoon Ki Sazaa Na Day,


Mujh Ko Bhi Itnay Logon Main Tanha Bana Diya
Sab se Chuppa Ker Dard,
Jo Woh Muskura Diya
Us Ki Hansi Ne Aaj to Mujh ko Rulla Diya
Lehjey Sey Uth Raha Tha Her Ik Derd Ka Dhuaan
Chehra Bata Raha Tha Kay Kuch Ganwa Diya
Awaz Main Thehrao Tha Aankhon Main Nammi Thi
Aur Keh Raha Tha K Main Ne Sab Kuch Bhulla Diya
Janey Kiya Usko Logoon Sey Thin Shikayaten
Tanhayion Kay Dais Main Khud Ko Basa Diya
Khud Bhi Woh Hum se Bicher Ker Adhura Sa Ho Giya
Mujh Ko Bhi Itnay Logon Main Tanha Bana Diya…!!!


Nishaane Dhoondte hain..
kitaabon mein mere fasaane dhoondte hain
naadaan hain guzre zamaane dhoondte hain
jab woh the….!! talaash-e-zindagi bhi thi
ab to maut ke thikaane dhoondte hain..!!
kal khud hi apni mehfil se nikaala tha..!!
aaj hue se deewaane dhoondte hain…!!
musaafir be-khabar hain teri aankhon se
tere shahar mein maikhaane dhoondte hain
tujhe kya pataa ae sitam dhaane waale
hum to rone ke bahaane dhoondte hain…!!
unki aankhon ko youn dekho na
naye teer hain…!! nishaane dhoondte hain..!!

Dil bhool nahi paata 


Dil bhool nahi paata
Woh khuwaab Mohabbat ka
Dil bhool nahi paata
Kya bhed anokha hai
Jab sochne betho to
Kuch yaad nahi aata
Ek pal ke liye phir bhi
Woh khuwaab Mohabbat ka
Dil bhool nahi paata
Karne ke liye us se
Baatein to bohat si hain
Socha hai bohat lekin
Kuch yaad nahi aata
Dil bhool nahi paata


Mat roko rone do mujhe
Mat roko rone do mujhe,
Aansuon ko pee jane do…..
Woh chali gayi apni yaaden dekar,
Uski yaadon mein he kho jane do…..
Har pal roti hai aankhe meri,
Ke ashkon ko bhi jum jane do…..
Ab to din ke ujale se bhi dar lagta hai,
Mujhe raat ke andhere me hi rahne do…..
Kaise bayaan karoon dil ka dard lafzon me,
Ankho ko he sab keh jane do…..
Ab saha nahi jata usse judaai ka dard,
Ke zahar ko hi mukti samajh kar apnane do…..
Ab koi tamanna nahi meri jeeene ki,
Mujhe mout ke pehlu me so jane do….

Aansu jo beh rahey hein inhein behney do…

Aansu jo beh rahey hein inhein behney do
Yeh keh rahey hein dil ki baat kehney do
Buhat bewafa ho tum, yeh ham ko hai maloom
Tum apni wafa ki baat, apney tak hi rehney do!
Mila to kia mila tumhein chahney kay baad
Bas dukh hi seh rahein hein, hamein sehney do
Tum ney to keh dala sab haal-e-dil apna
Ab mujh ko apni daastaan bhi kehney do
Mar gaye auroon kay liye ham yaara
Tum apni khatir ham ko Zinda rehney do


Aap pucho aur hum na bataye
Aap pucho aur hum na bataye, ab aise to haalat nahi,
Bas ek zara sa dil toota hai, aur to koi baat nahi.
Kis ko khabar thi sanwale badal, bin barse udh jatey hain
sawan aya tha per shayad, apni qismat mein barsaat nahi.
Mere ghamgeen hone per, dost sabhi hain herat mai
jaise pathar hun mein, aur mere koi jazbaat nahi.
Gham ke andhere mein Aapko, apna sathee hum kyon mane
Aap to phir aap hai, mera to saya bhi mere sath nahi

Yaad ata hai bohut woh guzra hoa zamana
Woh School ki life woh bachpan ka yarana

Left rite kehtay hoey hathon ko uthana
woh Iqbal ki dua woh asambli ka taranaa

Woh ghanti bajtay he classes say nikalna
woh lunch mai ja kar cholay chaat kahana

woh gurmiyon ki chUTion mai ghumnay ko jana
woh mastian karna aur mouj manana

woh tapti hoi dhoop mai cricket khailna
woh ratoon ko der tuk jagna
her khuff say azad zindagi guzarna
woh baat baat par Ammi say zid karna
woh ghaltioon pay maasomiat say sorry karna
woh ghusay mai Ammi ka dantna
aur raat mai Abbu say shikayetain karna
woh har shaam ko apnay time par ghar say nikalna
aur mohallay mai cricket khailna
maghrib hotay he ghar ko loutnaa
werna dadi ji say jhaar sunnna

woh dadi ko baat baat par satana 

woh dadi ko baat baat par satana
aur dadi ka shafqat say samjhana

woh raat ko homework k waqt bahanay karna
aur class mai miss ka murgha banana

woh subha mai Ammi ka humko UThana
aur hamara Ammi ko kahaniya Sunanaa

Late school pohchnay par Madam ka jhaar pilana
aur kehna Madam ka kal Ammi ko bulana

woh Ammi Abbu ka be ghurz pyar
woh chacha phopho ka dular
woh sharatain woh kahaniyan
lougoon ka jin ko kehna shetaniyan

mour kar dekhta hoo tu sochta hoo k
kiya zamana tha woh jo guzar gaya

woh zamana kitna suhana tha
waqai kia zamana tha waqai kia zamana tha

No comments:

Post a Comment