Tuesday, April 3, 2012

Dard - E - Shayari




Dard - E - Shayari

Mere khwabon mein aana aapka kasur tha
Aapse dil lagana hamara kasur tha
Aap aaye the zindagi mein pal do pal ke liye
Aapko zindagi samajh lena hamara kasur tha…
`
Tujhe Har Khushi Dedi, Labon Ki Hansi Dedi
Zulfon Ki Ghata Lehrayi, Paigham Wafa Ke Layi
Toone Achhi Preet Nibhayi
Kisi Se Ab Kya Kehna…
`
Woh Chand Mere Ghar Aangan Ab To Aayega
Tere Soone Is Aanchal Ko Woh Bhar Jayega
Teri Kardi God Bharayi
Kisi Se Ab Kya Kehna…
`
Khata Ho Gayi Mujhse, Kaha Kuch Nahin Tumse
Iqraar Jo Tum Kar Paate, To Door Kabhi Na Jaate
Koi Samjhe Na Peer Parayi
Kisi Se Ab Kya Kehna…
`
Kisi din teri nazro se dur ho jayenge hum,
Dur fizaon me kahi kho jayenge hum.
Meri yaadon se lipat ke rone aaoge tum,
jab zameen ko odh ke so jayenge hum…
Kabhi ro ke muskuraye , kabhi muskura ke roye,
Jab bhi teri yaad aayi tujhe bhula ke roye,
ek tera hi to naam tha jise hazar bar likha,
Jitna likh ke khush hue us se jayada mita ke roye…
`
Akela sa mehsus karo jab tanhai me,
Yaad meri aye jab judai me,
Mehsus karna tumhare karib hu me,
Jab chahe dekh lena apni hi parchai me…
`
Kadam yuhi dagmaga gaye raaste me,
Warna sambhlna hum bhi jaanthe the,
Thokar bhi lagi tho us pathar se,
Jise hum apna mante the…
`
Kaash woh samajthe is dil ki tadap ko,
Tho yun humein ruswa na kiya hotha.
Unki ye berukhi zulm bhi manzoor thi humein,
Bas ek baar humein samaj-liya hotha?
`
Wo roye to bahut, par mujhse muh mod kar roye
Koi majburi hogi to dil tod kar roye
Mere samne kar diye mere tasveer ke tukde
Pata chala mere piche wo unhe jod kar roye…
Jo dil se karib ho use rusva nahi karte,
Yun apni mohabbat ka tamasha nahi karte,
Khamosh rahenge to ghutan aur badhengi,
apno se koi baat chupaya nahi karte…
`
Dard ki mehfil me ek sher hum bhi aarz kiya karte hai..
Na kisi se marham Na duaon ki Ummed kiya karte hai..
kayi chehre lekar log yaha jiya karte hai…….
hum in aasunao ko ek chehre ke liye peeya karte hai….
`
Dard se khelna sikh gaye,
hum bewafayi ko jhelna sikh gaye
ham kya bataye hame zindagi ne
Kis kadar saqth bana diya,
k maut se pehle kafan odna b sikh gaye!
`
Legayi sb kuch magar bus kafan rehne dia,
Yuhi meri zindgi ka akri rehnuma rehne dia,
Hum gaye they unko loutane k liye.
Wo kha k raham rehne diya………
`
Dhoka tum na dho ab yakeen hame nahi,
bewafi tho dekchuke ab wafa ka barosa nahi,
dosti samj b sako wo akal tumme nahi,
kr k mohabbt saza tum saho utna sabar tum me nahi,
hamari myyath pr tum Aao ye yakeen ab kisi ko nahi…
Ai mere humnashin chal kahin aur chal,
Is chaman mein ab apna guzaara nahin,
Baat hoti phoolon tak to seh lete hum,
Ab to kaanton pe bhi haq hamara nahin.
`
Yeh shaam itnee tanha kyon hoti hai…..
Aur kismat se apnee sabko shikayat kyon hoti hai…
Ajeeb khel khelti hai ye kismat bhi….
Jinhe hum paa nahin sakte…
Usseise mohabbat kyon hoti hai….
`
Wo muzh se pooch raha tha batao kaisa laga,
Tum peechle zakhm ko chodo,Yeh ghao kaisa laga…
Ajab sawal kyia andhiyon ne patton se,
Shajar se toot ke Girna batao kaisa Laga?????
`
Mili Thodi Si Khushi To Mila Ke Pee Gaye,
Nahi Thay Hum Bhi Kal Tak Peene Ke Aadi,
Sharaab Ko Tanha Dekha To usper Taras Khaa Ke Pee Gaye.
Gham Mila To Ghabraa Ke Pee Gaye..
`
Mar jaoon main agar, to aansu mat bahana,
bas kafan ki jagah apna dupatta chada jana,
koi pooche ki rog kya tha,
to sir jhuka ke mohabbat bata jana.
Log apna bana k chor detey hain,
Apno se rishta tod k ghairon se jod detey hain,
Ham toa ik phool na tod saktey,
Najaney log dil kaisey tod detey hain….
`
Is dil ke har dhadkan ka ehsaas ho tum.
Tum kya jaano hamare liye kitne khaas ho tum.
juda ho k tumne hame maut se bhi battar sazaa di hai,
Phir bhi is tadapte dil ne tumhe khush rehne ki duaaein di hai.
`
Aap ko pa ker ab khona nahi chahtay,
Itna khush ho k ab rona nahi chahtay,
Ye aalam hai hamara aap ki judai mein,
Aankho mein neend hai aur sona nahi chahtay..
`
Kaha koi aisa mila jispe dil luta dete,
har ek ne dhoka diya kis-kisko bhula dete,
apne dil ka dard dil hi mein dabaye rakhe hain,
karte bayan to mehfil ko rula dete.
`
Ae nadan dil rotay nahi hai,
Kuch apnay ho k bhi pas hotay nahi hai,
Zara say fasly per udasi kaisi?
Dil ma basny wale kabhi door hotay nahi hai..
`
Mehkhane me jam tut jata he,
ishq me Dil tut jata he,
Na jane kya rishta hai in Dono me,
jam tute to ishq yaad Aata hai,
Dil tute to jam yaad Aata hai. . .
`
Aaj Q kisi ki yaad sone nahi deti
Is zamane ki bandish b rone nahi deti
Kesi kashish hai teri
Jo tujhe mera aur mujhe kisi aur ka h?ne nahi deti.
`
Jhuki nazron se ikrar mat krna,
Nazre utha kr inkar mat krna,
Raat bhar tarapte ho kisi ki yadon me,
Or dosron ko kehte ho kisi se pyar na krna??.!!
Haal dekh kar mera khuda bhi tadap jayega,
Jab bhi hogi bewaffai ki baat nujhe bhi koi bhoola yaad aayega,
Are apno ne kya kami rakhi jo ab koi anjan sitam dhayega,
Mat chu palkon ko Hai itna dard isme ke tera daaman bheeg jayega…
`
Nazar chahti hai didaar karna,
dil chahta hai pyaar karna,
kya batayein is dil ka aalam,
naseeb mein likha hai intezar karna.
`
Ussey yaad karun toh aankh bhar aati hai,
Meri mohabbat mujhe hi rulati hai,
Uske bina hoon udass main,
Bheer mein bhi tanha hoon main…
`
Pehle bhi kabhi suni thi, ye pyaar ki baatein,
Pehle bhi dil ko bahut dukhaya hai.
Aaj phir tumne kuredein hain, wo zakhm,
Aaj phir iss dil ko tumne rulaya hai…
`
Aap to chand ho jise sab yaad karte hai
Aur hamari kismat to taro jaisi hai
Humein yaad karna to door…
Log apni khawahish ke liye
Hamare tutne ki fariyad karte hai…
Wo Waqt wo lamhe Kuch ajeeb Honge
Duniya me hum khush Naseeb honge
Door se jab Itna Yaad karte hai aapko
Kya Hoga Jab aap humare Kareeb honge?
`
Dil tootna sazaa hai mohabbat ki,
dil jodna ada hai dosti ki.
Maange jo kurbani woh hai mohabbat,
jo bin maange ho jaye kurban wo hai dosti hamari.
`
Bahane bahane se aapki baat karte hai
har pal aapko mehsus karte hai
itni baar to aap saans bhi nahi lete honge
jitni baar hum aaapko yaad karte hai!
`
Khud Ko Khud Ki Khabar Na Lagay
Koi Achha Bhi Is Qadar Na Lagay
Aap Ko Dekha Hai Bas Us Nazar Say
Jis Nazar Say Aap Ko Nazar Na Lagay
`
Kalam tha haath mey likhna sikhaya apne
Takat thi haath mey hausla dilaya apne,
Manzil thi saamne raasta dikhaya apne,
Hum to sirf dost the,
AASHIQ BANAYA aap ne!
`
Ye aarzu nahi ke kisi ko bhulaye hum
Na tamanna ke kisi ko rulaye hum.
Par dua hai uss rab se,
jisko jitna yaad karte hain,
usko utna yaad aayein hum.
`
Betaab tamannao ki kasak rehney do,
Manzil ko paney ki kasak rehney do,
Aap chahe raho nazron sey door,
Par meri aankhon mein apni ek jhalak rehney do.

Tumhari Yaaden
Tumko to bhul jayenge magar
tumhari yaadein kaise bhulayenge
jab bhi hogi pehli baarish
tumko samne payenge
woh bundo se bhara chehra
tumhara hum kaise dekh payenge
bahegi jab bhi sard hawaein
hum khud ko tanha payenge
ehsaas tumhare saath ka
hum kaise mehsoos kar payenge
is daudti hui zindagi mein
to hum bilkul hi ruk hi jayenge
thaam lo hume thamne se pehle
hum kaise yun ji payenge
le dubega ye dard humein
aur hum jeete ji mar jayenge…


Khamoshi Bool Padi
Meri Khamoshi Bool Padi Mere Dil Ki ZubanHokar
Bataye Aasoun Ne Mere Aankh Se RawanaHokar
Sunaya Naa Dil Ka Haal Zuban Se Zamane Ke Darr Se
Sunaya Ab Apna Haal-E-Dil Hum Bezuban Hokar
Chupa Lete Hain Hum Apni Aah Ko Apne Hi Seene Mein
Magar Darti Hoon Phat Jaye Ye Aatish Fishan Hokar
Taluq Toot Gaye Subse….Unse Milte Lekin…..
Ke Ab Tho Reh Gaye Hum Sabse Naa Aashna Hokar
To Ab Badhega Humari Qismat Ka Tara Bhi
Kabhi Chamkegi Qismat Bhi Humari Kehkashan Hokar
Mangte Rehenge Milne Ki Dua Tumhari Rubb Se
Kabhi Rehmat Woh Farmayega Humpe Meherbaan Ho Ke
Thanks Best Regards
Written By
Mrs Rubina Yasmeen

Tum dil se hamein yon pukara na karo,
Yon tum hamein ishara na karo,
Door hain tumse ye majburi hai hamari,
Tum tanhaiyon mein yun tadpaya na karo.
`
Door ho jane se rishtey nahi tootte,
Na hi sirf paas rahne se judte,
Ye to dilon ke bandhan hain,
Isiliye hum tumhein aur tum hamein nahi bhoolte
`
Yuhi aankhon se ansu bahte nahi,
Kisi aur ko hum apna kahte nahi,
Ek tum hi ho jo ruk se gaye ho zindagi mein,
Varna rukne ke liye hum kisi ko kahte nahi.
`
Re: Senti shayari & sms Collection
Hua jo gam tumhein, dard kahi aur hoga,
Hanso jo tum, khush koi aur hoga,
Socho to zara us anjaan ke bare mein,
Vo anjaan mere sivaa aur kaun hoga ?
`
Koi subah aati hai tumhari yaad lekar,
Koi shaam jati hai tumhari yaad dekar,
Hamein to us subah ka intezaar hai,
Jo aaye tumhein saath lekar
`
Har kisi ko milta nahi pyar ka maza,
Naseeb valon ko milta hai ye meetha zaher mohabbat ka,
Bharosa rakhna apne pyar pe,
Bin bharose vala pyar tikta nahi is sansar mein.
Jalate hai hum apne dil ko diye ki tarah
Teri Zindagi main khushiyon ki roshni lane ke liye
Seh jate hai har chubhan ko apne pairon tale
Teri Rahon main phool bhichane ke liye..
`
Yun durr rehkar duriyon ko badaya nahi karte,
Apne deewano ko sataya nahi karte,
Har waqt bas jise tumhara khyal ho,
Usey apni awaaz ke liye tadpaya nahi karte..
`
Yakin har rishte ki buniyaad hota hain ,
tut jaaye agar to judna mushkil hota hain ,
kehna aasan hain humain yakin nahi hain tumpe,
lekin dard is cheez ka be-panah hota hain.
`
Aansu ko bahot samjhaya tanhai me aaya karo,
Mehfil me hamara mazak na udaya karo,
Ispar aansu tadap kar bola,
Bhari mehfil mein aapka dil akela na rahe,
Itna bus usse samjhaya karo..
`
Gam me hasne valoko kabhi rulaya nahi jata,
Lehro se pani ko kabhi hataya nahi jata,
hone vale ho jate he khud hi dil se apne ,
Kisiko kehkar apna banaya nhi jata……,

Kisiko apna banane me der lagti hai,
ek vada nibhane me der lagti hai,
pyar to pal bhar me ho jata hai,
magar unhe bhulane me umar lagti hai..
`
Jaan se bhi zyada unhe pyar kiya karte the,
yaad unhe din rat kiya karte the,
ab un raho se guzra nahi jata,
jaha baith kar unka intezaar kiya karte the.!
`
Unki julfo ke tale hum zamana bhula dete hain,
vo ek nazar se kitne armaan jaga dete hain,
ishq to unko bhi hai humse ye jaanta hain hum,
phir bhi na kah kar kyoin vo iss dil ko saza dete hain
`
Muskan tere Hoton Se Kabhi Jaaye Na,
Aansun tere Palkon Pe Kabhi Aaye na,
Poora Ho tera Har Khwab,
Aur Jo Poora na Ho Woh Khwab Kabhi Aaye Na…
`
Na misaal milegi tere husn ki iss kaynaat main,
tu itni kasis bhari khoobsurti kahain se layi hai,
labo hain maykhane aur ankhain chalakte pamane,
aye khuda jaane aaj kis kis ki shamat aye hai.


Qadam Qadam Par Baharon Ne Sath Chod Diya,
Pada Jab Waqt To Apno Ne Sath Chod Diya.
Qasam Khaii Thi In Sitaron Ne, Sath Dene Ki ,
Subah Hote Hi Sitaron Ne Bhi Sath Chod Diya..
`
Zindagi sirf mohabbat nahi,kuch aur bhi hay
zulf-o-rukhsar ki jannat nahi,kuch aur bhi hay
bhool-o-aflas ki is maari hui dunya main
ishq hi ek haqiqat nahi,kuch aur bhi hay …
`
Who aate to hain magar tan se nahi,
who bhethe to hain magar man se nahi,
kaun kehta hai ki who pyaar nahi karte,
karte to hain magar humse nahi.
`
Saath Humara pal bhar ka sahi,
par woh pal aise jaise koi kal nahi
rahe zindagi mein shayad phir milna humaara
par mehekti rahengi tumhari yaadein humare sang sahi.
`
Teri Dosti ne diya “SAKOON” itna,
Ke tere baad koi “ACHA” na lagey,
Tujhe karni hai “BEWAFAI” to is ada se kar,
Ke tere baad koi “BEWAFA” na lagey.
`
Jo dil se karib ho use rusva nahi karte,
Yun apni mohabbat ka tamasha nahi karte,
Khamosh rahenge to ghutan aur badhengi,
apno se koi baat chupaya nahi karte…

1. Dard se khelna sikh gaye,
hum bewafayi ko jhelna sikh gaye
ham kya bataye hame zindagi ne
Kis kadar saqth bana diya,
k maut se pehle kafan odna b sikh gaye!
2. Legayi sb kuch magar bus kafan rehne dia,
Yuhi meri zindgi ka akri rehnuma rehne dia,
Hum gaye they unko loutane k liye.
Wo kha k raham rehne diya………
3. Dhoka tum na dho ab yakeen hame nahi,
bewafi tho dekchuke ab wafa ka barosa nahi,
dosti samj b sako wo akal tumme nahi,
kr k mohabbt saza tum saho utna sabar tum me nahi,
hamari myyath pr tum Aao ye yakeen ab kisi ko nahi.
4. Meri mohabbat hai wo koyi mamuli ladki nahi,
Koyi use chede ye muje bardash nahi,
Cheer dhenge hum use agar
Wo kehdhe kisi ka naam ek bar,
Ye ek AshiQ ka wada hai koyi jhooti kasam nahi.
5. Kafan me lapti meri laash hai,
naye gar se bus chalis kadam dur hai,
intezar tho bus unka hai,
sun k kabr meri jo behosh hai,
un k ansu muje wazan hone lage,
kandha dene wale b ab thakne lage,
utaya jo meri dole ko tho uta na sake,
dek k log sabi pareshan ho chuke,
sirf unki ek muskuraht ki zarurath thi,
alvidha sun le hum bus ye ek aakri hasrath thi.
6. “Apki Ankho Me Ansuo Ki Jagah Na Ho.
Mere Pass apko Bhulane Ki Vajah Na Ho.
Agar Bhul Jaun Kisi Tarah Se apko.
To Khuda Kare Meri Zindgi Me Agli Subah Na ho.
7. Khuda ki mahobbat fanah kaun karega..
Sabhi neak ban gaye to gunah Kaun karega.
Aye khuda bewafa sanam ko bachaye rakhna..
Warna hamari Qabar pr chadar kaun chadayega…

No comments:

Post a Comment